Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_38e56040663052d745ee210b9bcc7013, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun

ye mujh se puchhte hain chaaragar kyun

ki tu zinda to hai ab tak magar kyun

jo rasta chhoD ke main ja raha hun

usi raste pe jati hai nazar kyun

thakan se chur pas aaya tha us ke

gira sote mein mujh par ye shajar kyun

sunaenge kabhi fursat mein tum ko

ki hum barson rahe hain dar-ba-dar kyun

yahan bhi sab hain begana hi mujh se

kahun main kya ki yaad aaya hai ghar kyun

main KHush rahta agar samjha na hota

ye duniya hai to main hun dida-war kyun

(2059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun In English By Famous Poet Javed Akhtar. Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Ye Mujhse Puchhte Hain Chaaragar Kyun in PDF.