Yaqin Ka Agar Koi Bhi Silsila Nahin Raha
yaqin ka agar koi bhi silsila nahin raha
to shukr kijiye ki ab koi gila nahin raha
na hijr hai na wasl hai ab is ko koi kya kahe
ki phul shaKH par to hai magar khila nahin raha
KHazana tum na pae to gharib jaise ho gae
palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha
badal gai hai zindagi badal gae hain log bhi
KHulus ka jo tha kabhi wo ab sila nahin raha
jo dushmani baKHil se hui to itni KHair hai
ki zahr us ke pas hai magar pila nahin raha
lahu mein jazb ho saka na ilm to ye haal hai
koi sawal zehn ko jo de jala nahin raha
(2077) Peoples Rate This