Shukr Hai KHairiyat Se Hun Sahab
shukr hai KHairiyat se hun sahab
aap se aur kya kahun sahab
ab samajhne laga hun sud-o-ziyan
ab kahan mujh mein wo junun sahab
zillat-e-zist ya shikast-e-zamir
ye sahun main ki wo sahun sahab
hum tumhein yaad karte ro lete
do-ghaDi milta jo sukun sahab
sham bhi Dhal rahi hai ghar bhi hai dur
kitni der aur main rukun sahab
ab jhukunga to TuT jaunga
kaise ab aur main jhukun sahab
kuchh riwayat ki gawahi par
kitna jurmana main bharun sahab
(3369) Peoples Rate This