Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_23d06d24e075d23b9cd2e10b248018d5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai

sach ye hai be-kar hamein gham hota hai

jo chaha tha duniya mein kam hota hai

Dhalta suraj phaila jangal rasta gum

hum se puchho kaisa aalam hota hai

ghairon ko kab fursat hai dukh dene ki

jab hota hai koi hamdam hota hai

zaKHm to hum ne in aankhon se dekhe hain

logon se sunte hain marham hota hai

zehn ki shaKHon par ashaar aa jate hain

jab teri yaadon ka mausam hota hai

(2059) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Sach Ye Hai Be-kar Hamein Gham Hota Hai in PDF.