Phirte Hain Kab Se Dar-ba-dar Ab Is Nagar Ab Us Nagar Ek Dusre Ke Ham-safar Main Aur Meri Aawargi
phirte hain kab se dar-ba-dar ab is nagar ab us nagar ek dusre ke ham-safar main aur meri aawargi
na-ashna har rah-guzar na-mehrban har ek nazar jaen to ab jaen kidhar main aur meri aawargi
hum bhi kabhi aabaad the aise kahan barbaad the be-fikr the aazad the masrur the dil-shad the
wo chaal aisi chal gaya hum bujh gae dil jal gaya nikle jala ke apna ghar main aur meri aawargi
jina bahut aasan tha ek shaKHs ka ehsan tha hum ko bhi ek arman tha jo KHwab ka saman tha
ab KHwab hai nai aarzu arman hai nai justuju yun bhi chalo KHush hain magar main aur meri aawargi
wo mah-wash wo mah-ru wo mah-kaam-e-hu-ba-hu thin jis ki baaten ku-ba-ku us se ajab thi guftugu
phir yun hua wo kho gai to mujh ko zid si ho gai laenge us ko DhunD kar main aur meri aawargi
ye dil hi tha jo sah gaya wo baat aisi kah gaya kahne ko phir kya rah gaya ashkon ka dariya bah gaya
jab kah ke wo dilbar gaya tere liye main mar gaya rote hain us ko raat bhar main aur meri aawargi
ab gham uThaen kis liye aansu bahaen kis liye ye dil jalaen kis liye yun jaan ganwaen kis liye
pesha na ho jis ka sitam DhunDenge ab aisa sanam honge kahin to kargar main aur meri aawargi
aasar hain sab khoT ke imkan hain sab choT ke ghar band hain sab goT ke ab KHatm hain sab ToTke
qismat ka sab ye pher hai andher hai andher hai aise hue hain be-asar main aur meri aawargi
jab hamdam-o-hamraaz tha tab aur hi andaz tha ab soz hai tab saz tha ab sharm hai tab naz tha
ab mujh se ho to ho bhi kya hai sath wo to wo bhi kya ek be-hunar ek be-samar main aur meri aawargi
(2288) Peoples Rate This