Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5e5eb34951a4c59d4ec7a88fb6ce4c7c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara

main pa saka na kabhi is KHalish se chhuTkara

wo mujh se jit bhi sakta tha jaane kyun haara

baras ke khul gae aansu nithar gai hai faza

chamak raha hai sar-e-sham dard ka tara

kisi ki aankh se Tapka tha ek amanat hai

meri hatheli pe rakkha hua ye angara

jo par sameTe to ek shaKH bhi nahin pai

khule the par to mera aasman tha sara

wo sanp chhoD de Dasna ye main bhi kahta hun

magar na chhoDenge log us ko gar na phunkara

(1838) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara In English By Famous Poet Javed Akhtar. Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Main Pa Saka Na Kabhi Is KHalish Se ChhuTkara in PDF.