Kis Liye Kije Bazm-arai
kis liye kije bazm-arai
pur-sukun ho gai hai tanhai
phir KHamoshi ne saz chheDa hai
phir KHayalat ne li angDai
yun sukun-ashna hue lamhe
bund mein jaise aae gahrai
ek se ek waqia hua lekin
na gai tere gham ki yaktai
koi shikwa na gham na koi yaad
baiThe baiThe bas aankh bhar aai
Dhalki shanon se har yaqin ki qaba
zindagi le rahi hai angDai
(1642) Peoples Rate This