Kin Lafzon Mein Itni KaDwi Itni Kasili Baat Likhun
kin lafzon mein itni kaDwi itni kasili baat likhun
sher ki main tahzib bana hun ya apne haalat likhun
gham nahin likkhun kya main gham ko jashn likhun kya matam ko
jo dekhe hain main ne janaze kya un ko baraat likhun
kaise likhun main chand ke qisse kaise likhun main phul ki baat
ret uDae garm hawa to kaise main barsat likhun
kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahr bujhe KHanjar
KHud se bhi jo main ne chhupae kaise wo sadmat likhun
taKHt ki KHwahish luT ki lalach kamzoron par zulm ka shauq
lekin un ka farmana hai main in ko jazbaat likhun
qatil bhi maqtul bhi donon nam KHuda ka lete the
koi KHuda hai to wo kahan tha meri kya auqat likhun
apni apni tariki ko log ujala kahte hain
tariki ke nam likhun to qaumen firqe zat likhun
jaane ye kaisa daur hai jis mein jurat bhi to mushkil hai
din ho agar to us ko likhun din raat agar ho raat likhun
(2298) Peoples Rate This