Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_14987029c9497cd7a3d4a90db66661b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo

jina mushkil hai ki aasan zara dekh to lo

log lagte hain pareshan zara dekh to lo

phir muqarrir koi sargarm sar-e-mimbar hai

kis ke hai qatl ka saman zara dekh to lo

ye naya shahar to hai KHub basaya tum ne

kyun purana hua viran zara dekh to lo

in charaghon ke tale aise andhere kyun hai

tum bhi rah jaoge hairan zara dekh to lo

tum ye kahte ho ki main ghair hun phir bhi shayad

nikal aae koi pahchan zara dekh to lo

ye sataish ki tamanna ye sile ki parwah

kahan lae hain ye arman zara dekh to lo

(13570) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo In English By Famous Poet Javed Akhtar. Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Jina Mushkil Hai Ki Aasan Zara Dekh To Lo in PDF.