Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_43bcbe5a27783737c92bea4ac8901b07, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise

hum ne DhunDen bhi to DhunDen hain sahaare kaise

in sarabon pe koi umr guzare kaise

hath ko hath nahin sujhe wo tariki thi

aa gae hath mein kya jaane sitare kaise

har taraf shor usi nam ka hai duniya mein

koi us ko jo pukare to pukare kaise

dil bujha jitne the arman sabhi KHak hue

rakh mein phir ye chamakte hain sharare kaise

na to dam leti hai tu aur na hawa thamti hai

zindagi zulf teri koi sanware kaise

(1714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise In English By Famous Poet Javed Akhtar. Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Humne DhunDen Bhi To DhunDen Hain Sahaare Kaise in PDF.