Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fd818cd8d36d283f3afd4a288619c793, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi

hamare shauq ki ye intiha thi

qadam rakkha ki manzil rasta thi

bichhaD ke Dar se ban ban phira wo

hiran ko apni kasturi saza thi

kabhi jo KHwab tha wo pa liya hai

magar jo kho gai wo chiz kya thi

main bachpan mein khilaune toDta tha

mere anjam ki wo ibtida thi

mohabbat mar gai mujh ko bhi gham hai

mere achchhe dinon ki aashna thi

jise chhu lun main wo ho jae sona

tujhe dekha to jaana bad-dua thi

mariz-e-KHwab ko to ab shifa hai

magar duniya baDi kaDwi dawa thi

(2383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi In English By Famous Poet Javed Akhtar. Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Hamare Shauq Ki Ye Intiha Thi in PDF.