Gham Hote Hain Jahan Zehanat Hoti Hai
gham hote hain jahan zehanat hoti hai
duniya mein har shai ki qimat hoti hai
akasr wo kahte hain wo bas mere hain
akasr kyun kahte hain hairat hoti hai
tab hum donon waqt chura kar late the
ab milte hain jab bhi fursat hoti hai
apni mahbuba mein apni man dekhen
bin man ke laDkon ki fitrat hoti hai
ek kashti mein ek qadam hi rakhte hain
kuchh logon ki aisi aadat hoti hai
(1682) Peoples Rate This