Dast-bardar Agar Aap Ghazab Se Ho Jaen
dast-bardar agar aap ghazab se ho jaen
har sitam bhul ke hum aap ke ab se ho jaen
chaudhwin shab hai to khiDki ke gira do parde
kaun jaane ki wo naraaz hi shab se ho jaen
ek KHushbu ki tarah phailte hain mahfil mein
aise alfaz ada jo tere lab se ho jaen
na koi ishq hai baqi na koi parcham hai
log diwane bhala kis ke sabab se ho jaen
bandh lo hath ki phailen na kisi ke aage
si lo ye lab ki kahin wo na talab se ho jaen
baat to chheD mere dil koi qissa to suna
kya ajab un ke bhi jazbaat ajab se ho jaen
(1622) Peoples Rate This