Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e0cc7b60f378b471e94f0eb2112ee038, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain

dard ke phul bhi khilte hain bikhar jate hain

zaKHm kaise bhi hon kuchh roz mein bhar jate hain

rasta roke khaDi hai yahi uljhan kab se

koi puchhe to kahen kya ki kidhar jate hain

chhat ki kaDiyon se utarte hain mere KHwab magar

meri diwaron se Takra ke bikhar jate hain

narm alfaz bhali baaten mohazzab lahje

pahli barish hi mein ye rang utar jate hain

us dariche mein bhi ab koi nahin aur hum bhi

sar jhukae hue chup-chap guzar jate hain

(1898) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain In English By Famous Poet Javed Akhtar. Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Dard Ke Phul Bhi Khilte Hain Bikhar Jate Hain in PDF.