Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_923120e7defe48eb0fb5185b13748264, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai - Javed Akhtar Poetry In English - Darsaal

Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai

abhi zamir mein thoDi si jaan baqi hai

abhi hamara koi imtihan baqi hai

hamare ghar ko to ujDe hue zamana hua

magar suna hai abhi wo makan baqi hai

hamari un se jo thi guftugu wo KHatm hui

magar sukut sa kuchh darmiyan baqi hai

hamare zehn ki basti mein aag aisi lagi

ki jo tha KHak hua ek dukan baqi hai

wo zaKHm bhar gaya arsa hua magar ab tak

zara sa dard zara sa nishan baqi hai

zara si baat jo phaili to dastan bani

wo baat KHatm hui dastan baqi hai

ab aaya tir chalane ka fan to kya aaya

hamare hath mein KHali kaman baqi hai

(2334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai In English By Famous Poet Javed Akhtar. Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Abhi Zamir Mein ThoDi Si Jaan Baqi Hai in PDF.