Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya

aaj main ne apna phir sauda kiya

aur phir main dur se dekha kiya

zindagi-bhar mere kaam aae usul

ek ek kar ke unhen becha kiya

bandh gai thi dil mein kuchh ummid si

KHair tum ne jo kiya achchha kiya

kuchh kami apni wafaon mein bhi thi

tum se kya kahte ki tum ne kya kiya

kya bataun kaun tha jis ne mujhe

is bhari duniya mein hai tanha kiya

(1718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya In English By Famous Poet Javed Akhtar. Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya is written by Javed Akhtar. Read famous Poem Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya for youth and Student by Javed Akhtar. Free Download Aaj Maine Apna Phir Sauda Kiya in PDF.