Bikharna TuTna Bhi Aur Ana Ke Sath Bhi Rahna
bikharna TuTna bhi aur ana ke sath bhi rahna
sitam ijad bhi karna wafa ke sath bhi rahna
tera andaza aisa hai andheron ki kahani mein
jalana kuchh diye bhi aur hawa ke sath bhi rahna
yahan to shoKHiyon ko apni zebai se matlab hai
lahu mein bhi machalna aur hina ke sath bhi rahna
ajab rang-e-talluq hai mohabbat ka mere dil se
ki us ko toDna bhi aur sada ke sath bhi rahna
haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain so dil ko hai
KHad-o-KHal-e-butan mein bhi KHuda ke sath bhi rahna
lahu ka haal hai 'jawed' aisa jaise nashsha ho
dhDakna dil mein bhi baad-e-saba ke sath bhi rahna
(1178) Peoples Rate This