Murajat
sham ho
aam si sham ho
jis ki had-bandiyon mein qafas bhi hon aur aashiyan bhi
hawaon ki aahaT pe khulte dariche bhi hon
aainon mein ghire nanhe munne parindon ka raqs-e-dam-e-wapsin
har nafas par-ba-par yurish-e-raegan bhi
aam si sham ho
lekin is sham ke raste mere ghar ja ruken
ghar ki dahliz par
meri man
muskuraate hue mere giryan dinon ki thakan chum le
sham ki sarhadon se muazzin pukare to
sab bhai bahnon ki chup mein meri chup bhi ho
sham ki sej par bap ke jism se mere bazu ugen
jab munDeron pe rakkhe diye jagmagane lagen
TuTte farsh par mera bhi aks ho
mera bhi nam ho
aam si sham ho
sham si sham ho
(954) Peoples Rate This