Mujhe Sham Aai Hai Shahr Mein
main safar mein hun
mere jism par
hain hazar rangon ki yurishen
kahin surKH phul khila hua
kahin nil hai
kahin sabz rang hai zahr ka
magar aaina shab-e-shahr ka
meri Dhaal hai
jo visal hai
wahi asl hijr-misal hai
mere samne wahi raste
wahi baam-o-dar
wahi sang hain wahi suliyan
mujhe sham aai hai shahr mein
mujhe sham aai hai shahr mein
jahan aasman ki wusaton se
sawal kasa-ba-dast lauTe the
yaad hai
shab hila jo tujhe yaad hai
wo salib
jis pe machan najm-e-sahar ki thi
wo KHatib
jis ka KHitab abru hua se tha
wo sada-e-zabt ajib thi
kahin koDhiyon ki shifa bani
kahin abr-o-baad se
chob-e-KHushk taDaKH rahi thi sawer se
baDi der se yahan marqadon ke gulab
panw ki dhul hain
main safar mein hun
mujhe sham aai hai shahr mein
mere hath mein bhi kaman hai
mujhe tir de
(785) Peoples Rate This