Hum Ki Hero Nahin
hum KHizan ki ghudud se chal kar
KHud december ki kokh tak aae
hum ko footpath par hayat mili
hum patangon pe leT kar roe
surajon ne hamare honTon par
apne honTon ka shahd Tapkaya
aur hamari shikam tasalli ko
june ki chhatiyon mein dudh aaya
barf bistar bani hamare liye
aur dozaKH ke surKH resham se
hum ne apne liye lihaf bune
zard shiryan ko dhuen se bhara
phephaDon par siyah rakh mali
naga-saki mein phul kasht kiye
nazm bairut mein mukammal ki
lorka ko kalai par bandha
ho-chi-minh ko niyam mein rakha
saDhe lenin baje school gae
subh-e-isa ko sham mein rakkha
armughan-e-hijaz mein soe
hollywood ki azan par jage
Diary mein sudhaar tha likha
dard ko falsafe ki lori di
zaKHm par shairi ka phaha rakkha
tan mashinon ki thap par thirke
dil kitabon ki tal par nacha
hum ne firaun ka qasida likha
hum ne kufe mein marsiye beche
hum ne boson ka karobar kiya
hum ne aankhon ke aaine beche
zindagi ki lagan nahin hum ko
zindagi ki hamein thakan bhi nahin
hum ki hero nahin wilen bhi nahin
(1393) Peoples Rate This