Ek Sharminda Nazm
kin harfon ki tafhim karun
kin rangon ki tajsim karun
kis rah chalun aur chalta jaun khula nahin
abhi darwaza to khula nahin
kis phul ki madh likhun
ai harf-e-sahar-asar ai yaum-e-azadi
main ne to nahin dekha
tere lams se kaun sa sang gulab hua aaina aab hua
is bagh mein kaun si musht-e-KHak khuli KHushbu aazad hui
be-bas aur sat bahaaren aur KHizaen
ek hi mausam ki ajrak main dekh chuka hun
lekin main ne wo din kis din dekha hai
jab aankhen rauzan chhoD ke phulon ki kyari mein bas jati hain koyal gati hai
koyal gati hai
jhule paDte hain baghon mein
husn se reza reza wasl Tapakta hai
main ne kab dekha hai
abhi darwaza to khula nahin
abhi darwaza to khula nahin
darwaza khule to main bhi qalam mein taza hawa ki siyahi bhar lun aur ek KHat likhun
main tere pate par KHat likhun
tu apna taaruf bhej main tujh par ek pyari si nazm likhun
ki suna hai tu bhi pyara sa ek lams hai
ek lamha hai
lekin main ne tujhe kab chakha sungha dekha suna mahsus kiya hai
jab se main jaga hun
tu to jantriyon mein morcha-band hai soya hua hai
jag ai nadida saat
ai sadiyon ka andoh liye lamhe ab mujh par bhi muTThi bhar sahar chhiDak
bas ek jhalak dikhla
teri ek jhalak
mere panch hawas ki baKHiya baKHiya udhDi jholi si bhi degi bhar bhi degi
phir main tujh par ek la-fani nazm likhunga
tujhe sunane aaunga
(912) Peoples Rate This