Barf Ke Shahr Ki Viran Guzar-gahon Par
barf ke shahr ki viran guzargahon par
mere hi naqsh-e-qadam mere sipahi hain
mera hausla hain
zindagiyan
apne gunahon ki panah-gahon mein hain
raqs-kunan
raushaniyan
band darwazon ki darzon se Tapakti hui
qatra qatra
shab ki dahliz pe girti hain kabhi
koi madhosh si le
jama mai oDh ke aati hai guzar jati hai
raat kuchh aur biphar jati hai
aur baDh jati hain KHamosh khaDi diwaren
be-sada sadiyon ke chune se chuni diwaren
jo ki mazi bhi hain mustaqbil bhi
jin ke pichhe hai kahin
aatish-e-lamha-e-maujud ki jo
lamha-e-maujud ki hasrat hai
meri nazm ki hairat hai jise
DhunDhta phirta hun main
ghumta phirta hun main barf bhari raat ki virani mein
an-kahi nazm ki tughyani mein
hain bhanwar kitne guhar kitne hain
kitne alapen pas-e-parda la
chashm-e-na-bina ke aafaq mein
kitne be-rang kare
kitne dhanak rang KHala
kitne sapne hain ki jo
shahr ke tang pulon ke niche
resturanon ki mahak oDh ke so jate hain
kitni ninden hain ki jo apne shabistanon mein
walium chaTti hain
jagti hain
(942) Peoples Rate This