Ashkon Mein Dhanak
is retile badan ki
jhulsi hui ragon mein
hai tel ka tamasha
aur barf ki tahon mein
hai surajon ka girya
ya paniyon ki dahshat
ya KHushk-saliyan hain
mahtab se Tapakta
tarikiyon ka lawa
ruKHsar daghta hai
us subh ka sitara
chiDiyon ke ghonslon mein
barud banTta hai
un choTiyon pe parcham
anjaan wadiyon ke
aur wadiyon pe daim
anjaan choTiyon ke
sayon ki hukmarani
ye mere aansuon mein
rakhi hui dhanak hai
us husn ki kahani
namkin paniyon ki
taskin ban rahi hai
un sabz gumbadon par
baiThe hue kabutar
aankhen nahin jhapakte
aur bargadon ke pichhe
soe hue payambar
KHwabon mein jagte hain
in aainon pe miTTi
in khiDkiyon mein jale
ye jam reza reza
ye tishna-lab nawa-gar
ye be-nawa gadagar
aur retile badan ki
jhulsi hui ragon mein
hai tel ka KHazana
is barf ki tahon mein
in surajon ka girya
sailab kab banega
ye ret kab dhulegi
in KHushk Tahniyon mein
mahtab kab banega
sadiyon ka bojh uThae
sadiyon se muntazir hain
qirtas-e-ahmarin par
dhabbe se raushni ke
la-raib ye risalat
la-raib ye sahife
lekin tere ujale
dimak hi chaTti thi
dimak hi chaTti hai
(850) Peoples Rate This