Wahi Harf Hain Wahi Zarf Hain Wahi Roz-o-shab Hain Sarab Se
wahi harf hain wahi zarf hain wahi roz-o-shab hain sarab se
wo malahaton ka KHumar sa wo mohabbaton ke sahab se
na kisi kaman mein tir hai na gulab hain kisi hath mein
mere shahr ke sabhi log hain kisi ajnabi si kitab se
tere baad bhi wahi Dhang hain wahi naKHl-soKHta rang hain
wahi intizar-e-tuyur hai wahi barg-e-sabz ke KHwab se
jo kabhi ye bab-e-alam khula the har ek halqa-e-chashm mein
pas-e-parda-e-gham-e-dostan faqat apne apne azab se
meri dosti bhi ajib thi wahi aashna wahi ajnabi
kabhi phul bais-e-zaKHm tha kabhi sang bhi the gulab se
(908) Peoples Rate This