Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f0cd0ea220bf070d02c9fb418ad22162, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta - Javaid Anwar Poetry In English - Darsaal

Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta

meri tahriron ka mahwar ek be-sar faKHta

mera nara KHamushi mera payambar faKHta

ek aangan qahqahon aur siskiyon se be-KHabar

chhat pe ek parcham phaTa sa aur dar par faKHta

tere raston ki rukawaT shaKH ek zaitun ki

tere aiwanon ke andar jagta Dar faKHta

sham pyari sham us par bhi koi dar khol de

shaKH par baiThi hui hai ek beghar faKHta

ek jaanib ujle pani ka bulawa aur hua

dusri samt ek akeli aur be-par faKHta

(1608) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta In English By Famous Poet Javaid Anwar. Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta is written by Javaid Anwar. Read famous Poem Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta for youth and Student by Javaid Anwar. Free Download Meri Tahriron Ka Mahwar Ek Be-sar FaKHta in PDF.