Shayad
main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun
shayad jaan-e-jaan shayad
ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho
hai dil ghamgin bahut ghamgin
ki ab tum yaad dildarana aati ho
shamim-e-dur-manda ho
bahut ranjida ho mujh se
magar phir bhi
masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho
judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai
qayamat ki KHabar-giri hai
behad naz-bardari ka aalam hai
tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain
main Darta hun
mere ehsas ke is KHwab ka anjam kya hoga
ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar
jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi
tumhaare is tarah har lamha yaad aane se
dil sahma hua sa hai
to phir tum kam hi yaad aao
mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao
bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak
sabhi kuchh to na bah jae
ki mere pas rah bhi kya gaya hai
kuchh to rah jae
(7233) Peoples Rate This