Saza
har bar mere samne aati rahi ho tum
har bar tum se mil ke bichhaDta raha hun main
tum kaun ho ye KHud bhi nahin jaanti ho tum
main kaun hun ye KHud bhi nahin jaanta hun main
tum mujh ko jaan kar hi paDi ho azab mein
aur is tarah KHud apni saza ban gaya hun main
tum jis zamin par ho main us ka KHuda nahin
pas sar-ba-sar aziyyat o aazar hi raho
bezar ho gai ho bahut zindagi se tum
jab bas mein kuchh nahin hai to bezar hi raho
tum ko yahan ke saya o partaw se kya gharaz
tum apne haq mein bich ki diwar hi raho
main ibtida-e-ishq se be-mehr hi raha
tum intiha-e-ishq ka mear hi raho
tum KHun thukti ho ye sun kar KHushi hui
is rang is ada mein bhi purkar hi raho
main ne ye kab kaha tha mohabbat mein hai najat
main ne ye kab kaha tha wafadar hi raho
apni mata-e-naz luTa kar mere liye
bazar-e-iltifat mein nadar hi raho
jab main tumhein nashat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukun-e-rifaqat na de saka
jab mere sab charagh-e-tamanna hawa ke hain
jab mere sare KHwab kisi bewafa ke hain
phir mujh ko chahne ka tumhein koi haq nahin
tanha karahne ka tumhein koi haq nahin
(12742) Peoples Rate This