Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain
chahe tum meri binai khurach Dalo phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga
un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin toDunga
tez nazar na-binaon ki aabaadi mein
kya main apne dhyan ki ye punji bhi ginwa dun
han mere KHwabon ko tumhaari subhon ki sard aur saya-gun tabiron se nafrat hai
in subhon ne sham ke hathon ab tak jitne suraj beche
wo sab ek barfani bhap ki chamkili aur chakkar khati golai the
so mere KHwabon ki raaten jalti aur dahakti raaten
aisi yaKH-basta tabiron ke har din se achchhi hain aur sachchi bhi hain
jis mein dhundla chakkar khata chamkila-pan chhe atraf ka rog bana hai
mere andhere bhi sachche hain
aur tumhaare rog ujale bhi jhuTe hain
raaten sachchi hain din jhuTe
jab tak din jhuTe hain jab tak
raaten sahna aur apne KHwabon mein rahna
KHwabon ko bahkane wale din ke ujalon se achchha hai
han main bahkaon ki dhund nahin oDhunga
chahe tum meri binai khurach Dalo main phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga
apna ahd nahin toDunga
yahi to bas mera sab kuchh hai
mah o sal ke ghaarat-gar se meri Thani hai
meri jaan par aan bani hai
chahe kuchh ho mere aaKHiri sans talak ab chahe kuchh ho
(2963) Peoples Rate This