Qatil
suna hai tum ne apne aaKHiri lamhon mein samjha tha
ki tum meri hifazat mein ho mere bazuon mein ho
suna hai bujhte bujhte bhi tumhaare sard o murda lab se
ek shoala shola-e-yaqut-fam o rang o ummid-e-farogh-e-zindagi-ahang lapka tha
hamein KHud mein chhupa lije
ye mera wo azab-e-jaan hai jo mujh ko
mere apne KHud apne hi jahannam mein jalata hai
tumhaara sina-e-simin
tumhaare bazuwan-e-mar-marin
mere liye
mujh ek hawasnak-e-faromaya ki KHatir
saz o saman-e-nashat o nashsha-e-ishrat-fuzuni the
mere ayyash lamhon ki fusun-gar pur-jununi ke liye
sad-lazzat aagin sad-karishma pur-zaboni the
tumhein meri hawas-pesha
meri saffak qatil bewafai ka guman tak
is guman ka ek wahm-e-KHud gurezan tak nahin tha
kyun nahin tha kyun nahin tha kyun
koi hota koi to hota
jo mujh se meri saffak qatil bewafai ki saza mein
KHun thukwata
mujhe har lamhe ki suli pe laTkata
magar fariyaad koi bhi nahin koi
daregh uftad koi bhi
mujhe mafrur hona chahiye tha
aur main saffak-qatil bewafa KHun-rez-tar main
shahr mein KHud-wardati
shahr mein KHud-mast aazadana phirta hun
nigar-e-KHak-asuda
bahaar-e-KHak-asuda
(3416) Peoples Rate This