Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4159e7f96d8ef74807fa5d039f6450c3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
DaraKHt-e-zard - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

DaraKHt-e-zard

nahin malum 'zaryun' ab tumhaari umr kya hogi

wo kin KHwabon se jaane aashna na-ashna hogi

tumhaare dil ke is duniya se kaise silsile honge

tumhein kaise guman honge tumhein kaise gile honge

tumhaari subh jaane kin KHayalon se nahati ho

tumhaari sham jaane kin malalon se nibhati ho

na jaane kaun doshiza tumhaari zindagi hogi

na jaane us ki kya bayastagi shaistagi hogi

use tum phone karte aur KHat likhte rahe hoge

na jaane tum ne kitni kam ghalat urdu likhi hogi

ye KHat likhna to daqyanus ki piDhi ka qissa hai

ye sinf-e-nasr hum na-baalighon ke fan ka hissa hai

wo hansti ho to shayad tum na rah pate ho haalon mein

gaDha nanha sa paD jata ho shayad us ke galon mein

guman ye hai tumhaari bhi rasai na-rasai ho

wo aai ho tumhaare pas lekin aa na pai ho

wo shayad maide ki gand biryani na khati ho

wo nan-e-be-KHamir-e-maida kam-tar hi chabaati ho

wo doshiza bhi shayad dastanon ki ho dil-dada

use malum hoga 'zal' tha 'sohrab' ka dada

tahamtan yani 'rustam' tha girami 'sam' ka waris

girami 'sam' tha sulb-e-nar-e-'mani' ka KHush-zada

(ye meri ek KHwahish hai jo mushkil hai)

wo 'najm'-afandi-e-marhum ko to jaanti hogi

wo nauhon ke adab ka tarz to pahchanti hogi

use kad hogi shayad un sabhi se jo lapaDi hon

na honge KHwab us ka jo gawayye aur khilaDi hon

hadaf honge tumhaara kaun tum kis ke hadaf hoge

na jaane waqt ki paikar mein tum kis taraf hoge

hai ran ye zindagi ek ran jo barpa lamha lamha hai

hamein is ran mein kuchh bhi ho kisi jaanib to hona hai

so hum bhi is nafas tak hain sipahi ek lashkar ke

hazaron sal se jite chale aae hain mar mar ke

shuhud ek fan hai aur meri adawat be-fanon se hai

meri paikar azal se

ye 'KHusro' 'mir' 'ghaalib' ka KHaraba bechta kya hai

hamara 'ghaalib'-e-azam tha chor aaqa-e-'bedil' ka

so rizq-e-faKHr ab hum kha rahe hain 'mir'-e-bismil ka

sidhaarat bhi tha sharminda ki do-abe ka basi tha

tumhein malum hai urdu jo hai pali se nikli hai

wo goya us ki hi ek pur-numu Dali se nikli hai

ye kaDwahaT ki baaten hain miThas in ki na puchho tum

nam-e-lab ko tarasti hain so pyas in ki na puchho tum

ye ek do juron ki ek chuhl hai aur chuhl mein kya hai

awamunnas se puchho bhala al-kuhl mein kya hai

ye tan-o-tanz ki harza-sarai ho nahin sakti

ki meri jaan mere dil se rishta kho nahin sakti

nasha chaDhne laga hai aur chaDhna chahiye bhi tha

abas ka nirKH to is waqt baDhna chahiye bhi tha

ajab be-majra be-taur be-zarana haalat hai

wajud ek wahm hai aur wahm hi shayad haqiqat hai

gharaz jo haal tha wo nafs ke bazar hi ka tha

hai ze bazar mein to darmiyan 'zaryun' mein awwal

to ye ibrafaniqi khelte harfon se the har pal

to ye 'zaryun' jo hai kya ye aflatun hai koi

aman 'zaryun' hai 'zaryun' wo majun kyun hota

hain majunen mufid arwah ko majun yun hota

suno tafriq kaise ho bhala ashKHas o ashya mein

bahut janjal hain par ho yahan to ya mein aur ya mein

tumhaari jo hamasa hai bhala us ka to kya kahna

hai shayad mujh ko sari umr us ke sehr mein rahna

magar mere gharib ajdad ne bhi kuchh kiya hoga

bahut tuchcha sahi un ka bhi koi majra hoga

ye hum jo hain hamari bhi to hogi koi nauTanki

hamara KHun bhi sach-much ka sehne par baha hoga

hai aaKHir zindagi KHun az-bun-e-naKHun bar-awar-tar

qayamat saneha matlab qayamat fajea parwar

nahin ho tum mere aur mera farda bhi nahin mera

so main ne sahat-e-diroz mein Dala hai ab Dera

mere diroz mein zahr-e-halahal tegh-e-qatil hai

mere ghar ka wahi sarnam-tar hai jo bhi bismil hai

guzasht-e-waqt se paiman hai apna ajab sa kuchh

so ek mamul hai imran ke ghar ka ajab sa kuchh

'hasan' nami hamare ghar mein ek 'suqraat' guzra hai

wo apni nafi se isbaat tak mashar ke pahuncha hai

ki KHun-e-raegan ke amr mein paDna nahin hum ko

wo sud-e-haal se yaksar ziyan-karana guzra hai

talab thi KHun ki qai ki use aur be-nihayat thi

so fauran bint-e-ashash ka pilaya pi gaya hoga

wo ek lamhe ke andar sarmadiyyat ji gaya hoga

tumhaari arjumand ammi ko main bhula bahut din mein

main un ki rang ki taskin se nimTa bahut din mein

wahi to hain jinhon ne mujh ko paiham rang thukwaya

wo kis rag ka lahu hai jo miyan main ne nahin thuka

lahu aur thukna us ka hai karobar bhi mera

yahi hai sakh bhi meri yahi mear bhi mera

main wo hun jis ne apne KHun se mausam khilae hain

na-jaane waqt ke kitne hi aalam aazmae hain

main ek tariKH hun aur meri jaane kitni faslen hain

meri kitni hi faren hain meri kitni hi aslen hain

hawadis majra hi hum rahe hain ek zamane se

shadaed saneha hi hum rahe hain ek zamane se

hamesha se bapa ek jang hai hum us mein qaem hain

hamari jang KHair o shar ke bistar ki hai zaida

ye charKH-e-jabr ke dawwar-e-mumkin ki hai girwida

laDai ke liye maidan aur lashkar nahin lazim

sinan o gurz o shamshir o tabar KHanjar nahin lazim

bas ek ehsas lazim hai ki hum buadain hain donon

ki nafi-e-ain-e-ain o sar-ba-sar ziddain hain donon

luis-urbina ne meri ajab kuchh gham-gusari ki

ba-sad dil danishi guzran apni mujh pe tari ki

bahut us ne pilai aur pine hi na di mujh ko

palak tak us ne marne ke liye jine na di mujh ko

main tere ishq mein ranjida hun han ab bhi kuchh kuchh hun

mujhe teri KHayanat ne ghazab majruh kar Dala

magar taish-e-shadidana ke baad aaKHir zamane mein

raza ki jawidana jabr ki naubat bhi aa pahunchi

mohabbat ek paspai hai pur-ahwal haalat ki

mohabbat apni yak-tauri mein dushman hai mohabbat ki

suKHan mal-e-mohabbat ki dukan-arai karta hai

suKHan sau tarah se ek ramz ki ruswai karta hai

suKHan bakwas hai bakwas jo Thahra hai fan mera

wo hai tabir ka aflas jo Thahra hai fan mera

suKHan yani labon ka fan suKHan-war yani ek pur-fan

suKHan-war izad achchha tha ki aadam ya phir ahriman

mazid aanki suKHan mein waqt hai waqt ab se ab yani

kuchh aisa hai ye main jo hun ye main apne siwa hun main

so apne aap mein shayad nahin waqe hua hun main

jo hone mein ho wo har lamha apna ghair hota hai

ki hone ko to hone se ajab kuchh bair hota hai

yunhi bas yunhi 'zenu' ne yakayak KHud-kushi kar li

ajab hiss-e-zarafat ke the malik ye rawaqi bhi

bidah yara azan baada ki dahqan parward aan-ra

ba sozad har mata-e-intimae dudmanan ra

ba-sozad in zamin-e-e'tibar-o-asmanan ra

ba-sozad jaan o dil raham bayasayad dil o jaan ra

dil o jaan aur aasaish ye ek kauni tamasKHur hai

humuq ki abqariyyat hai safahat ka tafakkur hai

humuq ki abqariyyat aur safahat ke tafakkur ne

hamein tazi-e-mohlat ke liye akwan baKHshe hain

aur aflatun-e-aqdas ne hamein aayan baKHshe hain

suno 'zaryun' tum to ain-e-ayan-e-haqiqat ho

nazar se dur manzar ka sar-o-saman-e-sarwat ho

hamari umr ka qissa hisab andoz-e-ani hai

zamani zad mein zan ki ek guman-e-lazimani hai

guman ye hai ki baqi hai baqa har aan fani hai

kahani sunne wale jo bhi hain wo KHud kahani hain

kahani kahne wala ek kahani ki kahani hai

piya pe ye gudazish ye guman aur ye gile kaise

sila-sozi to mera fan hai phir is ke sile kaise

to main kya kah raha tha yani kya kuchh sah raha tha main

aman han mez par ya mez par se bah raha tha main

ruko main be-sar-o-pa apne sar se bhag nikla hun

ila ya ayyuhal-abjad zara yani zara Thahro

There is an absurd i in absurdity shayad

kahin apne siwa yani kahin apne siwa Thahro

tum is absurdity mein ek radif ek qafiya Thahro

radif o qafiya kya hain shikast-e-na-rawa kya hai

shikast-e-narawa ne mujh ko para para kar Dala

ana ko meri be-andaza-tar be-chaara kar Dala

main apne aap mein haara hun aur KHwarana haara hun

jigar-chaakana haara hun dil-afgarana haara hun

jise fan kahte aae hain wo hai KHun-e-jigar apna

magar KHun-e-jigar kya hai wo hai kattal-tar apna

koi KHun-e-jigar ka fan zara tabir mein lae

magar main to kahun wo pahle mere samne aae

wajud o sher ye donon define ho nahin sakte

kabhi mafhum mein hargiz ye kain ho nahin sakte

hisab-e-harf mein aata raha hai bas hasab un ka

nahin malum izad izdan ko bhi nasab un ka

hai izad izdan ek ramz jo be-ramz nisbat hai

miyan ek haal hai ek haal jo be-haal-e-haalat hai

na jaane jabr hai haalat ki haalat jabr hai yani

kisi bhi baat ke mani jo hain un ke hain kya mani

wajud ek jabr hai mera adam auqat hai meri

jo meri zat hargiz bhi nahin wo zat hai meri

main roz-o-shab nigarish-kosh KHud apne adam ka hun

main apna aadmi hargiz nahin lauh-o-qalam ka hun

hain kaDwahaT mein ye bhige hue lamhe ajab se kuchh

sarasar be-hisabana sarasar be-sabab se kuchh

sarabon ne sarabon par bahut baadal hain barsae

sharabon ne maabad ke tamuz o baal nahlae

(yaqinan qafiya hai yawa-farmai ka sar-chashma

hain nahlae hain barsae)

na jaane aariba kyun aae kyun mustaraba aae

muzir ke log to chhane hi wale the so wo chhae

mere jad hashim-e-ali gae gazza mein dafnae

main naqe ko pilaunga mujhe wan tak wo le jae

lidu lilmauti wabnu lilhizabi san KHarabaati

wo mard-e-us kahta hai haqiqat hai KHurafati

ye zalim tisra paig ek aqanimi bidayat hai

uluhi harza-farmai ka sirr-e-tur-e-luknat hai

bhala hurab ki jhaDi ka wo ramz-e-atishin kya tha

magar hurab ki jhaDi kya ye kis se kis ki nisbat hai

ye nisbat ke bahut se qafiye hain hai gila is ka

magar tujh ko to yara! qafiyon ki be-tarah lat hai

guman ye hai ki shayad bahr se KHarij nahin hun main

zara bhi haal ke aahang mein haarij nahin hun

tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan tana-tan tan

tana-tan tan nahin mehnat-kashon ka tan na pairahan

na pairahan na puri aadhi roTi ab raha salan

ye sale kuchh bhi khane ko na paen galiyan khaen

hai in ki be-hisi mein to muqaddas-tar harami-pan

magar aahang mera kho gaya shayad kahan jaane

koi mauj-e- koi mauj-e-shumal-e-jawedan jaane

shumal-e-jawedan ke apne hi qisse the jo guzre

wo ho guzre to phir KHud main ne bhi jaana wo ho guzre

shumal-e-jawedan apna shumal-e-jawedan-e-jaan

hai ab bhi apni punji ek malal-e-jawedan-e-jaan

nahin malum 'zayun' ab tumhaari umr kya hogi

yahi hai dil ka mazmun ab tumhaari umr kya hogi

hamare darmiyan ab ek beja-tar zamana hai

lab-e-tishna pe ek zahr-e-haqiqat ka fasana hai

ajab fursat mayassar aai hai dil jaan rishte ko

na dil ko aazmana hai na jaan ko aazmana hai

kalid-e-kisht-zar-e-KHwab bhi gum ho gai aaKHir

kahan ab jada-e-KHurram mein sar-sabzana jaana hai

kahun to kya kahun mera ye zaKHm-e-jawedana hai

wahi dil ki haqiqat jo kabhi jaan thi wo ab aaKHir

fasana dar fasana dar fasana dar fasana hai

hamara bahami rishta jo hasil-tar tha rishton ka

hamara taur-e-be-zari bhi kitna walihana hai

kisi ka nam likkha hai meri sari bayazon par

main himmat kar raha hun yani ab us ko miTana hai

ye ek sham-e-azab-e-be-sarokana haalat hai

hue jaane ki haalat mein hun bas fursat hi fursat hai

nahin malum tum is waqt kis malum mein hoge

na jaane kaun se mani mein kis mafhum mein hoge

main tha mafhum na-mafhum mein gum ho chuka hun main

main tha malum na-malum mein gum ho chuka hun main

nahin malum 'zaryun' ab tumhaari umr kya hogi

mere KHud se guzarne ke zamane se siwa hogi

mere qamat se ab qamat tumhaara kuchh fuzun hoga

mera farda mere diroz se bhi KHush numun hoga

hisab-e-mah-o-sal ab tak kabhi rakkha nahin main ne

kisi bhi fasl ka ab tak maza chakkha nahin main ne

main apne aap mein kab rah saka kab rah saka aaKHir

kabhi ek pal ko bhi apne liye socha nahin main ne

hisab-e-mah-o-sal o roz-o-shab wo soKHta-budash

musalsal jaan-kani ke haal mein rakhta bhi to kaise

jise ye bhi na ho malum wo hai bhi to kyun-kar hai

koi haalat dil-e-pamal mein rakhta bhi to kaise

koi nisbat bhi ab to zat se bahar nahin meri

koi bistar nahin mera koi chadar nahin meri

ba-haal-e-na-shita sad-zaKHm-ha o KHun-ha KHudam

ba-har-dam shukaran aameKHta majun-ha KHudam

tumhein is baat se matlab hi kya aur aaKHirash kyun ho

kisi se bhi nahin mujh ko gila aur aaKHirash kyun ho

jo hai ek nang-e-hasti us ko tum kya jaan bhi loge

agar tum dekh lo mujh ko to kya pahchan bhi loge

tumhein mujh se jo nafrat hai wahi to meri rahat hai

meri jo bhi aziyyat hai wahi to meri lazzat hai

ki aaKHir is jahan ka ek nizam-e-kar hai aaKHir

jaza ka aur saza ka koi to hanjar hai aaKHir

main KHud mein jhenkta hun aur sine mein bhaDakta hun

mere andar jo hai ek shaKHs main us mein phaDakta hun

hai meri zindagi ab roz-o-shab yak-majlis-e-gham-ha

aza-ha marsiya-ha girya-ha aashob-e-matam-ha

tumhaari tarbiyat mein mera hissa kam raha kam-tar

zaban meri tumhaare waste shayad ki mushkil ho

zaban apni zaban main tum ko aaKHir kab sikha paya

azab-e-sad-shamatat aaKHirash mujh par hi nazil ho

zaban ka kaam yun bhi baat samjhana nahin hota

samajh mein koi bhi matlab kabhi aana nahin hota

kabhi KHud tak bhi matlab koi pahunchana nahin hota

gumanon ke guman ki dam-ba-dam aashob-kari hai

bhala kya e'tibari aur kya na-e'tibari hai

guman ye hai bhala mein juz guman kya tha gumanon mein

suKHan hi kya fasanon ka dhara kya hai fasanon mein

mera kya tazkira aur waqai kya tazkira mera

main ek afsos tha afsos hun guzre zamanon mein

hai shayad dil mera be-zaKHm aur lab par nahin chhaale

mere sine mein kab sozinda-tar daghon ke hain thaale

magar dozaKH pighal jae jo mere sans apna le

tum apni mam ke behad muradi minnaton wale

mere kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin kuchh bhi nahin baale

magar pahle kabhi tum se mera kuchh silsila to tha

guman mein mere shayad ek koi ghuncha khila to tha

wo meri jawedana be-dui ka ek sila to tha

so us ko ek abbu nam ka ghoDa mila to tha

saya-e-daman-e-rahmat chahiye thoDa mujhe

main na chhoDun ya nabi tum ne agar chhoDa mujhe

id ke din mustafa se yun lage kahne 'husain'

sabz joDa do 'hasan' ko surKH do joDa mujhe

adab adab kutte tere kan kaTun

'zaryun' ke byah ke nan baTun

taron bhare jagar jagar KHwan baTun

aa ja ri nindiya tu aa kyun na ja

'zaryun' ko aa ke sula kyun na ja

tumhaare byah mein shajara paDha jaana tha nausha wasti dulha

chauki aangan mein bichhi wasti dulha ke liye

makke madine ke pak musalle payambar ghar nawase

shah-e-mardan amirul-maminin hazrat-'ali' ke pote

hazrat imam-'hasan' hazrat imam-'husain' ke pote

hazrat imam-ali-'naqi' ke pote

sayyad-'jafar' sani ke pote

sayyad abul-farah saidwail-wasti ke pote

miran sayyad-'ali'-buzurg ke pote

sayyad-'husain'-sharfuddin shah-wilayat ke pote

qazi sayyad-'amir'-ali ke pote

diwan sayyad-'hamid' ke pote

allama sayyad-shafiq-'hasan'-eliya ke pote

sayyad-'jaun'-eliya hasani-ul-husaini saput-jah

magar nazir hamara soKHta-sulb aaKHiri nassab ab marne hi wala hai

bas ek pal haf sadi ka faisla karne hi wala hai

suno 'zaryun' bas tum hi suno yani faqat tum hi

wahi rahat mein hai jo aam se hone ko apna le

kabhi koi bhi par ho koi 'bahman' yar ya 'zenu'

tumhein bahka na pae aur bairuni na kar Dale

main sari zindagi ke dukh bhugat kar tum se kahta hun

bahut dukh degi tum mein fikr aur fan ki numu mujh ko

tumhaare waste behad sahulat chahta hun main

dawam-e-jahl o haal-e-istirahat chahta hun main

na dekho kash tum wo KHwab jo dekha kiya hun main

wo sare KHwab the qassab jo dekha kiya hun main

KHarash-e-dil se tum be-rishta be-maqdur hi Thahro

mere jahmim-e-zat-e-zat se tum dur hi Thahro

koi 'zaryun' koi bhi clerk aur koi karinda

koi bhi bank ka afsar senator koi pawanda

har ek haiwan-e-sarkari ko TaTTu jaanta hun main

so zahir hai ise shai se ziyaada manta hun main

tumhein ho subh-dam taufiq bas aKHbar paDhne ki

tumhein ai kash bimari na ho diwar paDhne ki

ajab hai 'sartre' aur 'ressel' bhi aKHbar paDhte the

wo malumat ke maidan ke shauqin buDhe the

nahin malum mujh ko aam shahri kaise hote hain

wo kaise apna banjar nam banjar-pan mein bote hain

main urr se aaj tak ek aam shahri ho nahin paya

isi bais main hun amboh ki lazzat se be-maya

magar tum ek do-paya rast qamat ho ke dikhlana

suno rae-dahinda bin hue tum baz mat aana

faqat 'zaryun' ho tum yani apna sabiqa chhoDo

faqat 'zaryun' ho tum yani apna lahiqa chhoDo

magar main kaun jo chahun tumhaare bab mein kuchh bhi

bhala kyun ho mere ehsas ke asbab mein kuchh bhi

tumhaara bap yani main abas main ek abas-tar main

magar main yani jaane kaun achchha main sarasar main

main kasa-baz o kina-saz o kasa-tan hun kutta hun

main ek nangin-e-budash hun pa tum to sirr-e-munam ho

tumhaara bap ruhul-quds tha tum ibn-e-maryam ho

ye qulqul tisra paig ab to chautha ho guman ye hai

guman ka mujh se koi KHas rishta ho guman ye hai

guman ye hai ki main jo ja raha tha aa raha hun main

magar main aa raha kab hun piyape ja raha hun main

ye chautha paig hai un-hun zalalat ki gai mujh se

zalalat ki gai mujh se KHayanat ki gai mujh se

jozami ho gai 'wazzah' ki mahbub wawaila

magar is ka gila kya jab nahin aaya koi eila

suno meri kahani par miyan meri kahani kya

main yaksar raigani hun hisab-e-raigani kya

bahut kuchh tha kabhi shayad par ab kuchh bhi nahin hun main

na apna ham-nafas hun main na apna ham-nashin hun main

kabhi ki baat hai fariyaad mera wo kabhi yani

nahin is ka koi matlab nahin is ke koi mani

main apne shahr ka sab se girami nam laDka tha

main be-hangam laDka tha main sad-hangam laDka tha

mere dam se ghazab hangama rahta tha mohallon mein

main hashr-aghaz laDka tha main hashr-anjam laDka tha

mere hindu musalman sab mujhe sar par biThate the

unhi ke faiz se mani mujhe mani sikhate the

suKHan bahta chala aata hai be-bais ke honTon se

wo kuchh kahta chala aata hai be-bais ke honTon se

main ashraf-e-kamina-kar ko Thokar pe rakhta tha

so main mehnat-kashon ki jutiyan mimbar pe rakhta tha

main shayad ab nahin hun wo magar ab bhi wahi hun main

ghazab hangama-parwar KHira-sar ab bhi wahi hun main

magar mera tha ek taur aur bhi jo aur hi kuchh tha

magar mera tha ek daur aur bhi jo aur hi kuchh tha

main apne shahr-e-ilm-o-fan ka tha ek naujawan kahin

mere tilmiz-e-ilm-o-fan mere baba ke the ham-sin

mera baba mujhe KHamosh aawazen sunata tha

wo apne-ap mein gum mujh ko pur-haali sikhata tha

wo haiat-dan wo aalim naf-e-shab mein chhat pe jata tha

rasad ka rishta sayyaron se rakhta tha nibhata tha

use KHwahish thi shohrat ki na koi hirs-e-daulat thi

baDe se qutr ki ek durbin us ki zarurat thi

meri man ki tamannaon ka qatil tha wo qallama

meri man meri mahbuba qayamat ki hasina thi

sitam ye hai ye kahne se jhijakta tha wo fahhama

tha behad ishtial-angez bad-qismat o allama

KHalaf us ke KHazaf aur be-nihayat na-KHalaf nikle

hum us ke sare beTe intihai be-sharaf nikle

main us aalim-tarin-e-dahr ki fikrat ka munkir tha

main fastai tha jahil tha aur mantiq ka mahir tha

par ab meri ye shohrat hai ki main bas ek sharabi hun

main apne dudman-e-ilm ki KHana-KHarabi hun

sagan-e-KHuk zad-e-barzan o bazar-e-be-maghzi

meri jaanib ab apne thobaDe shahana karte hain

zina-zade meri izzat bhi gustaKHana karte hain

kamine sharm bhi ab mujh se be-sharmana karte the

mujhe is sham hai apne labon par ek suKHan lana

'ali' darwesh tha tum us ko apna jadd na batlana

wo sibtain-e-mohamad, jin ko jaane kyun bahut arfa

tum un ki dur ki nisbat se bhi yaksar mukar jaana

ki is nisbat se zahar o zaKHm ko sahna zaruri hai

ajab ghairat se ghaltida-ba-KHun rahna zaruri hai

wo shajra jo kanana fahr ghaalib kab marra se

qusai o hashim o sheba abu-talib tak aata tha

wo ek andoh tha tariKH ka andoh-e-sozinda

wo namon ka daraKHt-e-zard tha aur us ki shaKHon ko

kisi tannur ke haizam ki KHakistar hi banna tha

use shoala-zada budash ka ek bistar hi banna tha

hamara faKHr tha faqr aur danish apni punji thi

nasab-namon ke hum ne kitne hi parcham lapeTe hain

mere ham-shahr 'zaryun' ek fusun hai nasl ham, donon

faqat aadam ke beTe hain faqat aadam ke beTe hain

main jab ausan apne khone lagta hun to hansta hun

main tum ko yaad kar ke rone lagta hun to hansta hun

hamesha main KHuda hafiz hamesha main KHuda hafiz

KHuda hafiz

KHuda hafiz

(6811) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

DaraKHt-e-zard In English By Famous Poet Jaun Eliya. DaraKHt-e-zard is written by Jaun Eliya. Read famous Poem DaraKHt-e-zard for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download DaraKHt-e-zard in PDF.