Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1a49ed37deaa4752958303550930b7d2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai

zindagi kya hai ek kahani hai

ye kahani nahin sunani hai

hai KHuda bhi ajib yani jo

na zamini na aasmani hai

hai mere shauq-e-wasl ko ye gila

us ka pahlu sara-e-fani hai

apni tamir-e-jaan-o-dil ke liye

apni buniyaad hum ko Dhani hai

ye hai lamhon ka ek shahr-e-azal

yan ki har baat na-gahani hai

chaliye ai jaan-e-sham aaj tumhein

shama ek qabr par jalani hai

rang ki apni baat hai warna

aaKHirash KHun bhi to pani hai

ek abas ka wajud hai jis se

zindagi ko murad pani hai

sham hai aur sahn mein dil ke

ek ajab huzn-e-asmani hai

(7977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai In English By Famous Poet Jaun Eliya. Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Zindagi Kya Hai Ek Kahani Hai in PDF.