Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_47537fdfe5f20bac48dbd4f431bd4d99, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain

us ke pahlu se lag ke chalte hain

hum kahin Talne se Talte hain

band hai mai-kadon ke darwaze

hum to bas yunhi chal nikalte hain

main usi tarah to bahalta hun

aur sab jis tarah bahalte hain

wo hai jaan ab har ek mahfil ki

hum bhi ab ghar se kam nikalte hain

kya takalluf karen ye kahne mein

jo bhi KHush hai hum us se jalte hain

hai use dur ka safar dar-pesh

hum sambhaale nahin sambhalte hain

sham furqat ki lahlha uThi

wo hawa hai ki zaKHm bharte hain

hai ajab faisle ka sahra bhi

chal na paDiye to panw julte hain

ho raha hun main kis tarah barbaad

dekhne wale hath malte hain

tum bano rang tum bano KHushbu

hum to apne suKHan mein Dhalte hain

(4857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Uske Pahlu Se Lag Ke Chalte Hain in PDF.