Umr Guzregi Imtihan Mein Kya
umr guzregi imtihan mein kya
dagh hi denge mujh ko dan mein kya
meri har baat be-asar hi rahi
naqs hai kuchh mere bayan mein kya
mujh ko to koi Tokta bhi nahin
yahi hota hai KHandan mein kya
apni mahrumiyan chhupate hain
hum gharibon ki aan-ban mein kya
KHud ko jaana juda zamane se
aa gaya tha mere guman mein kya
sham hi se dukan-e-did hai band
nahin nuqsan tak dukan mein kya
ai mere subh-o-sham-e-dil ki shafaq
tu nahati hai ab bhi ban mein kya
bolte kyun nahin mere haq mein
aable paD gae zaban mein kya
KHamushi kah rahi hai kan mein kya
aa raha hai mere guman mein kya
dil ki aate hain jis ko dhyan bahut
KHud bhi aata hai apne dhyan mein kya
wo mile to ye puchhna hai mujhe
ab bhi hun main teri aman mein kya
yun jo takta hai aasman ko tu
koi rahta hai aasman mein kya
hai nasim-e-bahaar gard-alud
KHak uDti hai us makan mein kya
ye mujhe chain kyun nahin paDta
ek hi shaKHs tha jahan mein kya
(5756) Peoples Rate This