Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4e2ef7c8e59d01d172cb89be171fae35, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main

tum se bhi ab to ja chuka hun main

dur-ha-dur aa chuka hun main

ye bahut gham ki baat ho shayad

ab to gham bhi ganwa chuka hun main

is guman-e-guman ke aalam mein

aaKHirash kya bhula chuka hun main

ab babar sher ishtiha hai meri

shairon ko to kha chuka hun main

main hun meamar par ye batla dun

shahr ke shahr Dah chuka hun main

haal hai ek ajab faraghat ka

apna har gham mana chuka hun main

log kahte hain main ne jog liya

aur dhuni rama chuka hun main

nahin imla durust 'ghaalib' ka

'shefta' ko bata chuka hun main

(4349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main In English By Famous Poet Jaun Eliya. Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Tum Se Bhi Ab To Ja Chuka Hun Main in PDF.