Tiflan-e-kucha-gard Ke Patthar Bhi Kuchh Nahin
tiflan-e-kucha-gard ke patthar bhi kuchh nahin
sauda bhi ek wahm hai aur sar bhi kuchh nahin
main aur KHud ko tujh se chhupaunga yani main
le dekh le miyan mere andar bhi kuchh nahin
bas ek gubar-e-wahm hai ek kucha-gard ka
diwar-e-bud kuchh nahin aur dar bhi kuchh nahin
ye shahr-dar-o-muhtasib-o-maulawi hi kya
pir-e-mughan-o-rind-o-qalandar bhi kuchh nahin
shaiKH-e-haram-luqma ki parwa hai kyun tumhein
masjid bhi us ki kuchh nahin mimbar bhi kuchh nahin
maqdur apna kuchh bhi nahin is dayar mein
shayad wo jabr hai ki muqaddar bhi kuchh nahin
jaani main tere naf-piyale pe hun fida
ye aur baat hai tera paikar bhi kuchh nahin
ye shab ka raqs-o-rang to kya sun meri kuhan
subh-e-shitab-kosh ko daftar bhi kuchh nahin
bas ek ghubar tur-e-guman ka hai tah-ba-tah
yani nazar bhi kuchh nahin manzar bhi kuchh nahin
hai ab to ek jal sukun-e-hameshgi
parwaz ka to zikr hi kya par bhi kuchh nahin
kitna Darawna hai ye shahr-e-nabud-o-bud
aisa Darawna ki yahan Dar bhi kuchh nahin
pahlu mein hai jo mere kahin aur hai wo shaKHs
yani wafa-e-ahd ka bistar bhi kuchh nahin
nisbat mein un ki jo hai aziyyat wo hai magar
shah-rag bhi koi shai nahin aur sar bhi kuchh nahin
yaran tumhein jo mujh se gila hai to kis liye
mujh ko to e'tiraaz KHuda par bhi kuchh nahin
guzregi 'jaun' shahr mein rishton ke kis tarah
dil mein bhi kuchh nahin hai zaban par bhi kuchh nahin
(2482) Peoples Rate This