Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_446420ec84e6f040153c0c933a9aaeb0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain

Thik hai KHud ko hum badalte hain

shukriya mashwarat ka chalte hain

ho raha hun main kis tarah barbaad

dekhne wale hath malte hain

hai wo jaan ab har ek mahfil ki

hum bhi ab ghar se kam nikalte hain

kya takalluf karen ye kahne mein

jo bhi KHush hai hum us se jalte hain

hai use dur ka safar dar-pesh

hum sambhaale nahin sambhalte hain

tum bano rang tum bano KHushbu

hum to apne suKHan mein Dhalte hain

main usi tarah to bahalta hun

aur sab jis tarah bahalte hain

hai ajab faisle ka sahra bhi

chal na paDiye to panw jalte hain

(5062) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Thik Hai KHud Ko Hum Badalte Hain in PDF.