Shauq Ka Rang Bujh Gaya Yaad Ke ZaKHm Bhar Gae
shauq ka rang bujh gaya yaad ke zaKHm bhar gae
kya meri fasl ho chuki kya mere din guzar gae
rah-guzar-e-KHayal mein dosh-ba-dosh the jo log
waqt ki gard-baad mein jaane kahan bikhar gae
sham hai kitni be-tapak shahr hai kitna sahm-nak
ham-nafaso! kahan ho tum jaane ye sab kidhar gae!
pas-e-hayat ka KHayal hum ko bahut bura laga
pas ba-hujum-e-marka jaan ke be-sipar gae
main to safon ke darmiyan kab se paDa hun nim-jaan
mere tamam jaan-nisar mere liye to mar gae
(5352) Peoples Rate This