Shamshir Meri, Meri Sipar Kis Ke Pas Hai
shamshir meri, meri sipar kis ke pas hai
do mera KHud par mera sar kis ke pas hai
darpesh ek kaam hai himmat ka sathiyo
kasna hai mujh ko meri kamar kis ke pas hai
tari ho mujh pe kaun si haalat mujhe batao
mera hisab-e-naf-o-zarar kis ke pas hai
ai ahl-e-shahr main to dua-go-e-shahr hun
lab par mere dua hai asar kis ke pas hai
dad-o-sitad ke shahr mein hone ko aai sham
KHwahish hai mere pas KHabar kis ke pas hai
pur-haal hun pa surat-e-ahwal kuchh nahin
hairat hai mere pas nazar kis ke pas hai
ek aaftab hai meri jeb-e-nigah mein
pahnai-e-numud-e-sahar kis ke pas hai
qissa kishor ka nahin koshak ka hai ki hai
darwaza sab ke pas hai ghar kis ke pas hai
mehman-e-qasr hain hamein kuchh ramz chahiyen
ye puchh ke batao khanDar kis ke pas hai
uthla sa naf-pyala hamari nahin talash
ai laDkiyo! batao bhanwar kis ke pas hai
naKHun baDhe hue hain mere mujh se kar hazar
ye ja ke dekh nail-cutter kis ke pas hai
(2066) Peoples Rate This