Shahr-ba-shahr Kar Safar Zad-e-safar Liye Baghair
shahr-ba-shahr kar safar zad-e-safar liye baghair
koi asar kiye baghair koi asar liye baghair
koh-o-kamar mein ham-safir kuchh nahin ab ba-juz hawa
dekhiyo palaTiyo na aaj shahr se par liye baghair
waqt ke marke mein thin mujh ko riayaten hawas
main sar-e-marka gaya apni sipar liye baghair
kuchh bhi ho qatl-gah mein husn-e-badan ka hai zarar
hum na kahin se aaenge dosh pe sar liye baghair
qarya-e-girya mein mera girya hunar-warana hai
yan se kahin Talunga main dad-e-hunar liye baghair
us ke bhi kuchh gile hain dil un ka hisab tum rakho
did ne us mein ki basar us ki KHabar liye baghair
us ka suKHan bhi ja se hai aur wo ye ki 'jaun' tum
shohra-e-shahar ho to kya shahr mein ghar liye baghair
(2165) Peoples Rate This