Sar Hi Ab PhoDiye Nadamat Mein
sar hi ab phoDiye nadamat mein
nind aane lagi hai furqat mein
hain dalilen tere KHilaf magar
sochta hun teri himayat mein
ruh ne ishq ka fareb diya
jism ko jism ki adawat mein
ab faqat aadaton ki warzish hai
ruh shamil nahin shikayat mein
ishq ko darmiyan na lao ki main
chiKHta hun badan ki usrat mein
ye kuchh aasan to nahin hai ki hum
ruThte ab bhi hain murawwat mein
wo jo tamir hone wali thi
lag gai aag us imarat mein
zindagi kis tarah basar hogi
dil nahin lag raha mohabbat mein
hasil-e-kun hai ye jahan-e-KHarab
yahi mumkin tha itni ujlat mein
phir banaya KHuda ne aadam ko
apni surat pe aisi surat mein
aur phir aadmi ne ghaur kiya
chhipkili ki latif sanat mein
ai KHuda jo kahin nahin maujud
kya likha hai hamari qismat mein
(11437) Peoples Rate This