Samajh Mein Zindagi Aae Kahan Se
samajh mein zindagi aae kahan se
paDhi hai ye ibarat darmiyan se
yahan jo hai tanaffus hi mein gum hai
parinde uD rahe hain shaKH-e-jaan se
makan-o-la-makan ke bich kya hai
juda jis se makan hai la-makan se
daricha baz hai yaadon ka aur main
hawa sunta hun main peDon ki zaban se
tha ab tak marka bahar ka darpesh
abhi to ghar bhi jaana hai yahan se
zamana tha wo dil ki zindagi ka
teri furqat ke din laun kahan se
fulan se thi ghazal behtar fulan ki
fulan ke zaKHm achchhe the fulan ke
(3693) Peoples Rate This