Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2755334586808817cc2beafe6e5b6b12, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin

sab chale jao mujh mein tab nahin

nam ko bhi ab iztirab nahin

KHun kar dun tere shabab ka main

mujh sa qatil tera shabab nahin

ek kitab-e-wajud hai to sahi

shayad is mein dua ka bab nahin

tu jo paDhta hai bu-ali ki kitab

kya ye aalim koi kitab nahin

apni manzil nahin koi fariyaad

raKHsh bhi apna bad-rikab nahin

hum kitabi sada ke hain lekin

hasb-e-mansha koi kitab nahin

bhul jaana nahin gunah use

yaad karna use sawab nahin

paDh liya us ki yaad ka nusKHa

us mein shohrat ka koi bab nahin

(2248) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin In English By Famous Poet Jaun Eliya. Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Sab Chale Jao Mujh Mein Tab Nahin in PDF.