Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3a404f07b974d785f75577e928938042, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main

ruTha tha tujh se yani KHud apni KHushi se main

phir us ke baad jaan na ruTha kisi se main

banhon se meri wo abhi ruKHsat nahin hua

par gum hun intizar mein us ke abhi se main

dam-bhar teri hawas se nahin hai mujhe qarar

halkan ho gaya hun teri dilkashi se main

is taur se hua tha juda apni jaan se

jaise bhula sakunga use aaj hi se main

ai tarah-dar-e-ishwa-taraaz-e-dayar-e-naz

ruKHsat hua hun tere liye dil-gali se main

tu hi harim-e-jalwa hai hangam-e-rang hai

jaanan bahut udas hun apni kami se main

kuchh to hisab chahiye aaine se tujhe

lunga tera hisab meri jaan tujhi se main

(3413) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main In English By Famous Poet Jaun Eliya. RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main is written by Jaun Eliya. Read famous Poem RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download RuTha Tha Tujhse Yani KHud Apni KHushi Se Main in PDF.