Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_322686db6bf25e338dc5cc610dbd0329, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad

na koi hijr na koi visal hai shayad

bas ek haalat-e-be-mah-o-sal hai shayad

hua hai dair-o-haram mein jo moatakif wo yaqin

takan-e-kashmakash-e-ehtimal hai shayad

KHayal-o-wahm se bartar hai us ki zat so wo

nihayat-e-hawas-e-KHadd-o-KHal hai shayad

main sath-e-harf pe tujh ko utar laya hun

tera zawal hi mera kamal hai shayad

main ek lamha-e-maujud se idhar na udhar

so jo bhi mere liye hai muhaal hai shayad

wo inhimak har ek kaam mein ki KHatm na ho

to koi baat hui hai malal hai shayad

guman hua hai ye amboh se jawabon ke

sawal KHud hi jawab-e-sawal hai shayad

(2259) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad In English By Famous Poet Jaun Eliya. Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Na Koi Hijr Na Koi Visal Hai Shayad in PDF.