Na Hum Rahe Na Wo KHwabon Ki Zindagi Hi Rahi
na hum rahe na wo KHwabon ki zindagi hi rahi
guman guman si mahak KHud ko DhunDhti hi rahi
ajab tarah ruKH-e-aindagi ka rang uDa
dayar-e-zat mein az-KHud guzashtagi hi rahi
harim-e-shauq ka aalam bataen kya tum ko
harim-e-shauq mein bas shauq ki kami hi rahi
pas-e-nigah-e-taghaful thi ek nigah ki thi
jo dil ke chehara-e-hasrat ki tazgi hi rahi
ajib aaina-e-partaw-e-tamanna tha
thi us mein ek udasi ki jo saji hi rahi
badal gaya sabhi kuchh us dayar-e-budash mein
gali thi jo teri jaan wo teri gali hi rahi
tamam dil ke mohalle ujaD chuke the magar
bahut dinon to hansi hi rahi KHushi hi rahi
wo dastan tumhein ab bhi yaad hai ki nahin
jo KHun thukne walon ki be-hisi hi rahi
sunaun main kise afsana-e-KHyal-e-malal
teri kami hi rahi aur meri kami hi rahi
(2999) Peoples Rate This