Main Na Thahrun Na Jaan Tu Thahre
main na Thahrun na jaan tu Thahre
kaun lamhon ke ru-ba-ru Thahre
na guzarne pe zindagi guzri
na Thaharne pe chaar-su Thahre
hai meri bazm-e-be-dili bhi ajib
dil pe rakkhun jahan subu Thahre
main yahan muddaton mein aaya hun
ek hangama ku-ba-ku Thahre
mahfil-e-ruKHsat-e-hamesha hai
aao ek hashr-e-ha-o-hu Thahre
ek tawajjoh ajab hai samton mein
ki na bolun to guftugu Thahre
kaj-ada thi bahut umid magar
hum bhi 'jaun' ek hila-ju Thahre
ek chaak-e-barhngi hai wajud
pairahan ho to be-rafu Thahre
main jo hun kya nahin hun main KHud bhi
KHud se baat aaj du-badu Thahre
bagh-e-jaan se mila na koi samar
'jaun' hum to numu numu Thahre
(1972) Peoples Rate This