Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6849722f851d7f658d698d232af221f9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango

ku-e-jaanan mein aur kya mango

haalat-e-haal yak sada mango

har-nafas tum yaqin-e-munim se

rizq apne guman ka mango

hai agar wo bahut hi dil nazdik

us se duri ka silsila mango

dar-e-matlab hai kya talab-angez

kuchh nahin wan so kuchh bhi ja mango

gosha-e-gir-e-ghubar-e-zat hun mein

mujh mein ho kar mera pata mango

munkiran-e-KHuda-e-baKHshinda

us se to aur ek KHuda mango

us shikam-raqs-gar ke sail ho

naf-pyale ki tum ata mango

lakh janjal mangne mein hain

kuchh na mango faqat dua mango

(2324) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango In English By Famous Poet Jaun Eliya. Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Ku-e-jaanan Mein Aur Kya Mango in PDF.