Kisi Se Ahd-o-paiman Kar Na Rahiyo
kisi se ahd-o-paiman kar na rahiyo
to us basti mein rahiyo par na rahiyo
safar karna hai aaKHir do palak beach
safar lamba hai base bistar na rahiyo
har ek haalat ke beri hain ye lamhe
kisi gham ke bharose par na rahiyo
suhulat se guzar jao meri jaan
kahin jine ki KHatir mar na rahiyo
hamara umr-bhar ka sath Thera
so mere sath tu din-bhar na rahiyo
bahut dushwar ho jaega jina
yahan to zat ke andar na rahiyo
sawere hi se ghar aajaiyo aaj
hai roz-e-waqia bahar na rahiyo
kahin chhup jao na KHanon mein ja kar
shab-e-fitna hai apne ghar na rahiyo
nazar par bar ho jate hain manzar
jahan rahiyo wahan aksar na rahiyo
(6247) Peoples Rate This