Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a33a72ac25f796881e402a85495ade47, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije - Jaun Eliya Poetry In English - Darsaal

Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije

kis se izhaar-e-muddaa kije

aap milte nahin hain kya kije

ho na paya ye faisla ab tak

aap kije to kya kiya kije

aap the jis ke chaara-gar wo jawan

saKHt bimar hai dua kije

ek hi fan to hum ne sikha hai

jis se miliye use KHafa kije

hai taqaza meri tabiat ka

har kisi ko charagh-pa kije

hai to bare ye aalam-e-asbab

be-sabab chiKHne laga kije

aaj hum kya gila karen us se

gila-e-tangi-e-qaba kije

nutq haiwan par garan hai abhi

guftugu kam se kam kiya kije

hazrat-e-zulf-e-ghaaliya-afshan

nam apna saba saba kije

zindagi ka ajab moamla hai

ek lamhe mein faisla kije

mujh ko aadat hai ruTh jaane ki

aap mujh ko mana liya kije

milte rahiye isi tapak ke sath

bewafai ki intiha kije

kohkan ko hai KHud-kushi KHwahish

shah-bano se iltija kije

mujh se kahti thin wo sharab aankhen

aap wo zahar mat piya kije

rang har rang mein hai dad-talab

KHun thukun to wah-wa kije

(5856) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije In English By Famous Poet Jaun Eliya. Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Kis Se Izhaar-e-muddaa Kije in PDF.