KHwab Ki Haalaton Ke Sath Teri Hikayaton Mein Hain
KHwab ki haalaton ke sath teri hikayaton mein hain
hum bhi dayar-e-ahl-e-dil teri riwayaton mein hain
wo jo the rishta-ha-e-jaan TuT sake bhala kahan
jaan wo rishta-ha-e-jaan ab bhi shikayaton mein hain
ek ghubar hai ki hai daera-war pur-fishan
qafila-ha-e-kahkashan tang hain wahshaton mein hain
waqt ki darmiyaniyan kar gain jaan-kani ko jaan
wo jo adawaten ki thin aaj mohabbaton mein hain
partaw-e-rang hai ki hai did mein jaan-nashin-e-rang
rang kahan hain runuma rang to nikhaton mein hain
hai ye wajud ki numud apni nafas nafas gurez
waqt ki sari bastiyan apni hazimaton mein hain
gard ka sara KHanuman hai sar-e-dasht-e-be-aman
shahr hain wo jo har tarah gard ki KHidmaton mein hain
wo dil o jaan suraten jaise kabhi na thin kahin
hum unhin suraton ke hain hum unhin suraton mein hain
main na sununga majra marka-ha-e-shauq ka
KHun gae hain raegan rang nadamaton mein hain
(1909) Peoples Rate This